Sabhi ko pranam
Main ek software engineer hu aur recently shaadi ke baad USA move hui hu. Main janna chahti hu ki is naye desh me mera career kaisa rahega? Kab tak naukri milegi?
Kripya madad kare. Maine apna D1 and D9 charts attach kiya hai.
DOB – 10th August,1992. Time- 3:55 pm, Varanasi UP
accha hai bahar jana aur dash bhi rahu ki aa rhi hai ya to ghr logi rahu dash me ya fir janmbhumi k8 yaad aayegi to aane ka maan krenga aur videsh house and rahu 1st kuch business krna chaogi ghr ke dawar ghr se yesa kuch like service providerr and travel wala kaam bhi acch hai vidsh me syda tumhe other culture pasnd bhi aata hai
very good career ahead. will have lots of good opportunities in abroad. u will get. very. good recognition in ur job .
I don’t want to be rude but, I don’t see much karma attached for you to performing a job. I can see you doing business. Even if you’re looking for a job, opportunity might come late.
15 January 2023 ke baad job mil jayegi.
aapke father kaise hain?
abhi nai shaadi hai kuch saal dikkat aa sakti hai sambhal kar rahein aur apne batcheet main thoda dhyaan dein. gusse par kabu rakhein.
financial problem dikh rahi hai kuch samay tak fir thik hoga.
mental peace kharab ho rahi hai iss par dhyaan dein ..kahne peene ki cheejon ka daan karein mandir main ya bhikari ko.. ya cheetiyon ko shakkar aata dalein.
bhagwan par vishwas karna jaroori hai..apne man main aise vichaar layein.
videsh main man nahi lagega lekin wahin rahena padega.
agar wahan kuch saal nikaal liye to dheere dheere sab thik hoga..
Roz Gayatri ka jaap karein aur bahas se door rahein.
aapko mehnat bahut karni padegi tabhi bhagya saath dega.. koi business karne ka nahin sochein aap kewal job par dhyaan dein..